UCSD Song
nikla thaa ghar se anjaan
rahon pe,
chhod ke sab kuchh
sivay kuchh khwaabon ke
dara dara sa
san diego ki ore
aaj hansta hoon,
us dar ko yaad karke
wo khwaab kitne kam thay,
yahan sab kuchh paa gaya
nadiyan door huin to kya,
paas samandar aa gaya
aaja aaja dekh ucsd ki shaam
dekh le dekh le apna ye jaam
paas aa dekh ucsd ki shaan
dekh le dekh le apni ye jaan
prof
ban gaye maayi baap research khoob karvaaye
aaj ye paper kal vo paper, report roz bharvaaye
reemac jaana, five kay daudna, body khoob banayi
aaj sqaush kal tennisfootball swimming bhi sikhlayi
palat palat dekh ucsd ki shaam
hatke hai sabse apna ye jaam
paas aa dekh ucsd ki shaan
dekh le dekh le apni ye jaan
surti, sitaar, ashoka pet mein
aag lagaye
AMC cinema, aankhon ki aas
bujhaaye
calit cse mein saari raat
bitaayi
La Jolla ke beach pe dhoop
sunhari paayi
machal machal dekh ucsd ki shaam
kabhi na chhalke apna ye jaam
paas aa dekh ucsd ki shaan
dekh le dekh le apni ye jaan
mast dost mile yahan masti
khoob hai chhaayi
har budday pe aisi party aur
kahan mil paayi
mazaa aa gaya jeene ka na yahan
se nikla jaaye
jee kare har din yahan aur raat
yahan bitaaye
badal badal dekh ucsd ki shaam
kabhi na badle apna ye
jaam
paas aa dekh ucsd ki
shaan
dekh le dekh le apni ye
jaan
|